Dosti Shayari

Best 30+ Beautiful Dosti Shayari In English

Dosti Shayari In English

Friendship has always been one of the purest and most heartfelt emotions in human life. It goes beyond blood relations, connecting souls through shared laughter, trust, and memories. In India and across South Asia, this feeling finds its most artistic expression in Dosti Shayari in english—a poetic form that captures the warmth and beauty of friendship. Dosti Shayari in English brings this timeless expression into a global voice, allowing feelings once penned in Urdu and Hindi to reach hearts across languages.

Dosti Shayari In English

Dosti Se Qeemti Koi Jageer Nahi,
Dosti Se Khubsoorat Koi Tasveer Nahi,
Dosti To Sirf Ek Kaccha Dhaga Hai,
Dhage Se Majboot Koi Janjeer Nahi.

Muskurana Hi Khushi Nahi Hoti,
Umar Bitana Hi Zindagi Nahi Hoti,
Khud Se Bhi Zyada Khayal Rakhna Padta Hai Dosto Ka,
Kyoki Dost Kehna Hi Dosti Nahi Hoti.

Jinki Dosti Sachi Hai Wo Kab Fariyad Karte Hai?
Zubaan Khamosh Hoti Hai Magar Dilse Yaad Karti Hai

Ae Dost Main Tujhe Bhool Jaau,
Ye Teri Bhool Hai,
Teri Kya Taarif Karu
Tu Ek Mehakta Hua Phool Hai.

Sabne Kaha Dosti Ek Dard Hai
Humne Kaha Dard Kabool Hai
Sabne Kaha Is Dard Ke Saath Jee Na Paogay
Humne Kaha Teri Dosti Ki Saath Marna Kabool Hai

Doston Ko Bhul Ne Walo Mein Se Hum Nahi,
Sath Chod Ne Walo Mein Se Hum Nahi,
Ye Dosti To Hum Umar Bhar Nibhayenge,
Kyuki Wada Todne Walo Mein Se Hum Nahi.

Bahut Pyari Hai Awaz Tumhari
Banado Isse Qissmat Hamari
Mein Zindagi Mein Aur Kya Chahoon
Agar Mil Jaye Dosti Tumhari

Jab Kabhi Dosti Ki Dastaan Waqt Sunaayega,
Humko Bhi Koi Shaqs Yaad Aayega,
Tab Bhool Jaayenge Zindagi Ke Gamon Ko,
Jab Aapke Saath Guzara Har Lamha Yaad Aayega

Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge
Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana
Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge

Ae Dost Zindagi Bhar Mujhse Dosti Nibhaana
Dil Ki Koi Bhi Baat Humse Kabhi Na Chupaana
Sath Chalna Mere Tum Dukh Sukh Mein
Bhatak Jau Mein Jo Kabhi Sahi Raasta Dikhlaana…

Rishton Ki Dori Kamzor Hoti Hai,
Aankhon Ki Baatein Dil Ki Chor Hoti Hai,
Khuda Ne Jab Bhi Pucha Dosti Ka Matlab,
Hamari Ungli Aapki Aur Hoti Hai.

Ishq Aur Dosti Mere Do Jahaan Hain
Ishq Meri Rooh To Dosti Mera Iman Hai
Ishq Par To Fida Kar Dun Apni Sari Zindagi
Magar Dosti Par To Mera Ishq Bhi Kurbaan Hai

Aye Mere Khuda Tu Apni Adalat Main
Meri Bhi Zamanat Rakhna
Main Rahoon Ya Na Rahun
Mere Dosto Ko Salamut Rakhna

Dost Ko Bhulana Galat Hai,
Unhi Ka Zindagi Bhar Saath Hai.
Agar Bhul Gaye To Khali Haath Hai,
Aur Agar Saath Rahe To Zamana Kahega,
Kya Baat Hai!

Dosti Achchi Ho Toh Rang Laati Hai,
Dosti Gehri Ho Toh Sabko Bhaati Hai,
Dosti Naadaan Ho Toh Toot Jaati Hai,
Par Agar Dosti Apne Jaisi Ho Toh Itihaas Banaati Hai !

Dosti Karo To Dhokha Mat Dena,
Doston Ko Bewafai Ka Tofa Mat Dena,
Koi Tumhe Rahe Yaad Kar Ke
Aisa Kabhi Mauka Mat Dena…

Khuda Kare Salamat Rahe Kisi Dua Ki Tarah
Ek Tu Aur Doosra Muskrana Tera

Mushkil Hai Is Yaari Ko Bhula Pana
Mushkil Hai Tumhe Yaadon Se Mita Pana
Tum Ek Keemti Tohfa Ho Dosti Ka
Namumkin Hai Is Tohfe Ki Keemat Chuka Pana

Dosti Jaan Hai To Wo Jaan Aap Ho,
Dosti Chand Hai To Uski Roshni Aap Ho,
Dosti Dil Hai To Uski Dhadkan Aap Ho,
Dosti Agar Zinda Hai To Uski Wajah Aap Ho

Dooriyon Se Fark Nahi Padta,
Baat To Dilon Ki Nazdikion Se Hoti Hai,
Dosti Aap Jaise Kuchh Khaas Logo Se Hoti Hai,
Warna Mulaqat To Roj Janae Kitno Se Hoti Hai

Bade Ajeeb Hai Yeh Zindgi Ke Raaste
Anjane Mod Par Kuch Log Dost Ban Jate Hai
Milne Ki Khushi De Ya Na De
Bichadne Ka Gum Jaroor De Jate Hai

Bite Huye Pal Yaade De Jate Hai..
Har Kisi Ka Andaaz Hai Apna Apna..
Koi Dosti Main Pyar To…
Koi Pyar Main Dosti De Jate Hai..

Jo Aasani Se Mile Wo Hai Dhokha
Jo Mushkil Se Mile Wo Hai Ijaat
Jo Dil Se Mile Wo Hai Pyar
Aur Jo Naseeb Se Mile Wo Hai Dost

Har Khushi Dil Ke Karib Nahi Hoti,
Jindagi Gamo Se Dur Nahi Hoti,
Aye Dost Dosti Ko Sanjokar Rakhna,
Dosti Har Kisi Ko Nasib Nahi Hoti

Dost Ko Dost Ka Ishara Yaad Reheta Hai
Har Dost Ko Apna Dostana Yad Reheta Hai
Kuch Pal Sachhe Dost Ke Saath To Gujaro
Woh Afsana Maut Tak Yaad Rehta Hai

Yaadon K Sahare Hi Waqt Kat-te Hai,
Baton K Sahare Hi Hamara Dil Bahlata Hai.
Khud Ko Akela Mat Samjho Dost,
Aapko Bhi Har Pal Koi Yaad Karta Hai

Ultimately, Dosti Shayari in English is not just a translation of poetic tradition—it is a heartfelt evolution. It blends the emotional richness of Eastern poetry with the expressive freedom of the English language. Whether posted on social media, sent in a message, or spoken aloud, each line becomes a promise of trust and togetherness. Friendship may have many forms, but through Dosti Shayari in English, it finds its most beautiful expression—timeless, pure, and filled with love.