Eid E Ghadeer Shayari, Eid e Ghadeer, also known as Ghadeer-e-Khum, is a significant occasion for Muslims, particularly among the Shia community. It commemorates the event where Prophet Muhammad (PBUH) appointed Ali ibn Abi Talib (AS) as his successor, declaring him the “Mawla” (master or leader) of all believers. This event took place on the 18th of Dhu al-Hijjah, shortly after the Prophet’s final pilgrimage, and is celebrated with great fervor and devotion. Enjoy eid e ghadeer shayari:
Eid E Ghadeer Shayari
Takmil-e-deen Naam Hay Jashn-e-ghadeer Ka
Bheja Hay Taaj Rab Ne Nabi K Wazeer Ka
Aao Ali A.s K Chahne Walon Khushi Khushi
Yeh Jashan Ho Raha Hay Janab-e-ameer Ka
Koi Ali A.s Ko Maula Kahay Koi Na Kahay
Yeh Masla Azal Say Hay Zarf-o-zameer Ka
Humein Woh Likhte Hein Deewar-o-dar Pe Aaj
Hay Jin K Dill Mein Zakham Abhi Tak Ghadeer Ka
Mushkil To Us K Qadmon Mein Khud Lotne Lagi
Jiss Ne Bhi Naam Le Liya Qanbar K Peer Ka
Bada Azeem Bahut Behtareen Kaam Huwa,
Khuda Ka Deen Ali (As) Murtuza Ke Naam Huwa.
Tha Sar Pe Shamsh,garam Reyt, Dil Me Bugze Ali (As),
Kaha Kaha Se Jalane Ka Intezaam Huwa.
Har Ek Chahane Wale Ko Hosh Bakshe Gi,
Maye Wilaye Ali (As) Hai Adab Se Pite Raho,
Kuch Iss Tarah Se Maanao Ghadeer Ki Khushyan,
Husain (As) Karbobala Se Kahe Ke Jite Raho.
Misle Gulaab Tha Koi Chahera Ghadeer Me,
Jalta Raha Kisi Ka Kaleja Ghadeer Me,
Man Kunto Ki Sadaa Se Hataya Gaya Aqeel,
Meraaj Wali Raat Ka Pardah Ghadeer Me.
Abhi Tak Jaan Ka Darr Tha Abhi To Aan Ka Darr Hai
Asheerah Par Jo Bola Tha Usi Farmaan Ka Darr Hai
Kisi Ne Ye Kisi Ke Kaan Me Chupke Se Kehdaala
Tujhe Palaan Ka Darr Tha Mujhe Eylaan Ka Darr Hai
Yaume Ghadeer Aur Shabe Aashur Ka Tawaaf,
Iss Ke Siwah Hai Gardishe Lailo Nahaar Kya.
Waez Ali (As) Ke Bughz Ki Pathri Jigar Me Hai,
Andar Se Kar Raha Hai Khuda Sans’saar Kya.
Ya Ali (As) Kah Kar Jo Maine Ungliya Muh Me Rakhi,
Wo Mazaa Dene Lagi Hum Ko Daseri Aam Ka,
Dushmane Haider (As) Ke Sar Ka Dard Jaa Sakta Nahi,
Kaar Khaana Wo Lagaa Le Chahe Zandu Balm Ka.
Tum Ko To Hai Malum Wo Mazbut Hai Dhun Ka
Iqrar Bhi Israar Bhi Ye Kaam Hai Punn Ka
Mat Ruthna Ahbab Nabi (S) Se Ya Ali (As) Se
Inn Ka Hai Ye Na Unka Hai Ye Hai Faisla Kunn Ka
Muqam E Ishq Koi Be Zameer Kya Janay
Hussainiyat Ki Haqeeqat Haqeer Kya Janay
Nabi (S.a.w.) Ki Zaat Pe Hazyan Ka Ho Shak Jis Ko
Woh Do Rakat Ka Namazi Ghadeer Kya Janay
Khuda Parast Wafaa E Ameer Yaad Rahe
Zamane Bhar Ko Nabi Ka Wazeer Yaad Rahe
Sajaya Jaata Hai Masjid Mein Is Liye Mimbar
Namaziyo’n Ko Bhi Eid E Ghadeer Yaad Rahe
Saj Ke Sawar Ke Ghar Se Nikal Kar Sawar Ke Aa,
Al Yaum Ki Khushi Ka Thikana Hi Aur Hai.
Bando Ke Saath Eid Manata Raha Hai Tu,
Khaliq Ke Saath Eid Manana Hi Aur Hai.
Nazar Na Ayega Un Ko Gadeer Ka Hero
Jo Apney Cheron Pay Theri Naqab Rakhtey Hai.
Ye Jau Ki Roti Ka Sadqa Hi Jo Ali Key Faqeer
Mutton, Pulao, Chicken Or Kabab Rakhtey Hai
Buss Yeh Najaf Me Hogaya Nuksaan Ya-ali.
Nikli Na Tere Dar Pe Meri Jaan Ya-ali.
Ab Tak Unheiñ Ghadeer Ka Rasta Nahin Mila.
Chauraahey Par Khadhey Hain Musalmaan Ya-ali.
Eid E Ghadeer Shayari In English
Kaisa Huwa Hai Kaam Ye Punn Ka Ghadeer Me,
Pura Huwa Hai Marhala Kun Ka Ghadeer Me,
Kabse Hi Jinki Takhte Risalat Pe Thi Nazar,
Takhta Ulat Ke Rahgaya Unka Ghadeer Me.
Sun Lo Ghadeer E Khum Pe Hi Kahkar Ali Ali (As),
Dharti Pe Pahli Baar Khade Haath Hogaye,
Do Haath Ek Kya Huwe Huqme Jaleel Se,
Shaukat Bade Bado Se Bade Haal Hogaye.
Jis Per Mere Rasul (Saw) Ko Teyees Baras Lage,
Uss Amre Kirdigaar Ki Haiyyet Ghadeer Hai.
Ye Haath Leke Jaata Hai Parwar Digar Tak,
Daste Khuda Pe Abd Ki Baiyyet Ghadeer Hai.
Emaan Baatne Pe Tule Hai Wo Mustafain,
Tauheed Ka Karam Bhi Hai Dono Ke Saath Me,
Tanha Ali (As) Ke Haath Ko Tanha Na Jaan Na,
Barah Imamate Hai Mohammad (Saw) Ke Haath Me.
Kal Se Bahtar Kar Raha Hu Aaj Sab Ke Aajj Ko,
Balke Nafis Kar Raha Hu Murtuza Ke Rajj Ko,
Bandgi Ke Haus Me Arke Wilayat Daal Kar,
Kausari Karne Lagaa Hu Zamzami Al Hajj Ko.
Maa Ko Tehzib Ki Dunya Ka Khuda Kahte Hai,
Maa Ko Hi Farsh Pe Khaliq Ki Zubaan Kahte Hai.
Wo To Dayim Hai Ali Dushmani Baanti Jisne,
Jo Ali (As) Kehna Sikha De Usey Maa Kahte Hai.
Ye Ibrahim Aur Ismaeel Ki Sunnat Ke Diwaane,
Na Jaane Kyu Sakhi Shabbir (A) Tujhse Hi Jhagadte Hai,
Teri Tauseef Me Zibhe Azeem Aaya Magar Phir Bhi,
Ye Dumba Chumne Wale Tere Ghode Se Ladte Hai.
Khane Lagi Ghadeer Ke Maidan Ki Tapish
Upar Se Thaher Jaane Ke Farmaan Ki Tapish
Bhai Ka Haath Thaam Ke Sarwar Ne Kya Kaha
Suraj Se Bhi Shadeed Hai Eylaan Ki Tapish
Badli Namaz Or Azanai’n Badal Gaee’n
Baad-e-elan-e-khum, Zabanai’n Badal Gaee’n
Deen-daar Banay Baithay Hain Dee’n Farosh Nazeer
Dee’n To Wohi Hay, Dokanai’n Badal Gaee’n
Haato Pe Mohammed (Saw) Ke Wali Ibne Wali Tha,
Azhar Kahi Wo Mazhare Ausafe Jali Tha,
Ho Kiske Tasawwur Me Bulandi Ka Tasawwur,
Uncha Bhi Huwa Wo Ke Jo Pahle Se Ali (As) Tha.
Islaam Nagar Ki Dunya Me,
Har Eid Hai Chand Se Bawasta.
Taqdeer Ki Rahe Dhunda Kar,
Tahzeeb Ke Sahre Dhunda Kar.
Jis Shaqsh Me Achcha Khoon Nahi,
Usko Shaqsh Ko Aaj Sukoon Nahi.
Iss Eid Pe Chand Na Dekha Kar,
Iss Eid Pe Chahera Dekha Kar.
Hope you like these “eid e ghadeer shayari”. Eid e Ghadeer is more than just a celebration; it is a reaffirmation of faith in the teachings of Islam as articulated by Prophet Muhammad (PBUH) through his appointment of Imam Ali (AS). It serves as a reminder of the values of leadership, justice, and community support that are essential for a thriving society. As believers gather to commemorate this day with joy and reverence, they also renew their commitment to uphold the principles that Imam Ali (AS) stood for throughout his life.
In essence, eid e ghadeer shayari encapsulates a rich tapestry of history, spirituality, and communal bonding that continues to resonate deeply within the hearts of Muslims around the world.