Sad Shayari

Best 30+ Beautiful Sad Shayari In English for You

sad shayari in english

Last updated on July 24th, 2025 at 03:18 pm

Sad shayari in english, an evocative form of poetry that finds its roots in Persian and Urdu literature, has long been a cherished medium of self-expression in South Asia. One of the most resonant and popular forms within this genre is sad shayari. Sad shayari in english deals with themes of heartbreak, loss, loneliness, and the melancholy that comes with longing and unfulfilled love. When translated into English or crafted directly in the language, sad shayari acquires a universal appeal, touching the hearts of readers across cultures and backgrounds.

Sad Shayari In English

 

sad shayari in english

 

Sard Sard Mausam Mein,
Zard Zard Honton Par,
Chuppi Ka Jo Pehra Hai,
Koi To Zakhm Gehra Hai.πŸ’”

 

Dhamki Di Hai Mere Dil Ne Mujhe,
Usse Yaad Karte Ho Ya Main Dhadakna Chhod Doon?πŸ’”

 

Mere Hi Aasman Ka Rang Aisa Hai,
Ya Shaam Kahin Aur Bhi Udaas Hai?πŸ’”

 

Dhalne Lagi Raat To Tum Yaad Aa Gaye,
Phir Yun Hua Ke Raat Bohot Dair Tak Rahi.πŸ’”

 

Neend Wale Kabhi Samajh Nahi Paayenge,
Raat Bhar Jaagne Walon Ka Dard Kya Hota Hai.πŸ’”

 

 

sad shayari in english

 

Tumhare Lagaye Hue Zakhm Kyun Nahi Bharte?
Hamare To Ugaye Hue Ped Tak Sukh Jaate Hain.πŸ’”

 

Gham To Likha So Likha Meri Zindagi Mein,
Yun Raat Bhar Neend Na Aana Kis Jurm Ki Saza HaiπŸ’”

 

Lamhe Lamhe Mein Basi Hai Teri Yaadon Ki Mehak,
Yeh Aur Baat Hai Ke Aankhon Se Door Rehte Ho Tum.πŸ’”

 

Tumhari Aur Meri Raat Mein Bas Farq Itna Hi Hai,
Tumhari So Ke Guzri, Hamari Ro Ke Guzri Hai.πŸ’”

 

Us Ehsaan Ka Koi Faida Nahi,
Jis Ehsaan Ko Baar Baar Jataaya Jaaye.πŸ’”

 

Sad Shayari In English 2 Lines

 

sad shayari in english

 

Kitne Zakhm Dil Mein Chhupa Leta Hoon,
Chot Kha Kar Bhi Muskara Leta Hoon.πŸ’”

 

Baat To Sirf Ek Raat Ki Thi,
Intezar Poori Umr Kar Liya.πŸ’”

 

Saadgi To Hamari Zara Dekhiye,
Aitbaar Aap Ke Waade Par Kar Liya.πŸ’”

 

Nibha Sako To Phir Hi Waada Wafa Karna,
Warna Yun Hi Na Mere Jazbaat Ko Ruswa Karna.πŸ’”

 

Jo Kuch Tha Na Kehne Ka, Sab Keh Gaya Deewana,
Samjho To Mukammal Hai Ab Ishq Ka Afsana.πŸ’”

 

 

sad shayari in english

 

Main Mar Jaaun Tujhe Meri Khabar Na Mile,
Tu Dhoondhta Rahe Tujhe Meri Qabar Na Mile.πŸ’”

 

Bholi Baaton Pe Teri Dil Ko Yaqeen,
Pehle Aata Tha, Ab Nahi Aata.πŸ’”

 

Sabr Par Dil Ko To Aamaada Kiya Hai Lekin,
Hosh Udd Jaate Hain Ab Bhi Teri Awaaz Ke Saath.πŸ’”

 

Raat Poori Guzaar Doon Teri Khaatir,
Ek Baar To Keh, β€œtere Bin Neend Nahi Aati.β€πŸ’”

 

Yeh Waqt Bhi Ajeeb Saudagar Hai,
Jawani Ka Laalach De Kar Bachpan Le Gaya,
Ab Ameeri Ka Laalach De Kar Jawani Cheen Raha Hai.πŸ’”

 

Hindi Sad Shayari In English

 

sad shayari in english

 

Zindagi Mein Koi Na Koi Haar To Aisi Hoti Hai,
Jiske Baad Kuch Bhi Jeetne Ka Mann Nahi Karta.πŸ’”

 

Mere Saath Baith Kar Waqt Bhi Roya Ek Din,
Bola: β€œbanda Tu Theek Hai, Main Hi Kharaab Chal Raha Hoon.β€πŸ’”

 

Agar Kabhi Nafrat Ho Jaaye Humse To Dil Se Aisi Dua Dena,
Tumhari Dua Poori Bhi Ho Jaaye Aur Meri Zindagi Bhi.πŸ’”

 

Wo Tera Gham Tha Ya Taseer Mere Lehje Ki,
Ke Jisko Tera Haal Sunaate, Use Hi Rula Dete.πŸ’”

 

Apna Gham Sunane Ko Jab Na Mila Koi,
To Rakh Diya Aaina Saamne, Aur Khud Ko Rula Diya.πŸ’”

 

 

sad shayari in english

 

Aurat Wo Patthar Hai,
Jise Duniya Ki Koi Nafrat Nahi Tod Sakti,
Aurat Ko Jab Bhi Toda Hai,
To Thodi Si Mohabbat Ne Toda Hai.πŸ’”

 

Ek Lahasil Si Ho Gayi Hai Zindagi Apni,
Safar Bhi Roz Ka Hai, Aur Jaana Bhi Kahin Nahi.πŸ’”

 

Zindagi Chhoti Si Hoti Hai,
Magar Is Mein Bhi Log Jeene Nahi Dete.πŸ’”

 

Tere Ishq Ka Suroor Tha Ke Khud Ko Barbaad Kar Diya,
Warna To Log Aaj Bhi Humare Deewane Hain.πŸ’”

 

Khuloos-e-ishq Kabhi Raigan Nahi Jaata…
Main Kaise Maan Loon Tujhe Mera Khayal Nahi Aata?πŸ’”

 

 

sad shayari in english

 

Bholi Baaton Pe Teri Dil Ko Yaqeen,
Pehle Aata Tha, Ab Nahi Aata.πŸ’”

 

Socha Imtihaan Ke Baad Kar Dunga Izhaar-e-ishq,
Imtihaan Ke Baad Wo Kabhi Deedaar Ko Bhi Nahi Aayi.πŸ’”

 

Badalte Mausam Ko Dekh Kar Teri Yaad Aayi,
Tere Badalte Hue Chehre Ki Yaad Aayi.πŸ’”

In essence, sad shayari in English is more than just a collection of sorrowful words; it is an art form that bridges the gap between the heart’s pain and the power of language. Through it, people find comfort, understanding, and sometimes, even healing. Whether read in solitude or shared with others, sad shayari reminds us that we are never truly alone in our sadness, and that even in heartache, there is poetry waiting to be found.