Best 30+ Beautiful Shayari In Roman English

Shayari In Roman English: Shayari is a beautiful form of expressing human emotions, woven in the rhythm of words, metaphors, and feelings. Traditionally written in Urdu, Hindi, or Persian scripts, Shayari has found a new presence in the digital age through Roman English. Shayari In Roman English is basically the use of English alphabets to write words of Hindi or Urdu. This style has become very common on social media platforms, texting applications, and online poetry forums where people may not be comfortable typing in native scripts but still want to share verses of love, pain, joy, or philosophy.
Shayari In Roman English
Hai Ishq Toh Phir Asar Bhi Hoga,
Jitna Hai Idhar,
Udhar Bhi Hoga❤️
Saamne Baithe Raho
Dil Ko Karaar Aayega,
Jitna Dekhenge Tumhe
Utna Hi Pyaar Aayega.❤️
Zulfon Ko Ungliyon Se Kinare Kiya Na Kar,
Dil Mera Awaara Hai, Ise Aur Bigaada Na Kar.❤️
Yeh Mat Sochna Ki Tumhare
Bina Mar Jaayenge Hum,
Woh Log Bhi Jee Rahe Hain Jinhe
Chhoda Tha Maine Tumhari Khatir.❤️
Hum Ishq Ke Woh Mukaam Par Khade Hain,
Jahan Dil Kisi Aur Ko Chahe Toh Gunah Lagta Hai.❤️
Shikayat Nahi Hai Raat Se Bas
Tumhi Se Kuch Kehna Hai,
Bas Tum Thoda Thahar Jao,
Raat Kab Thaharti Hai.❤️
Har Lamha Teri Yaad Ka Paigam De Raha Hai,
Ab To Tera Ishq Meri Jaan Le Raha Hai.❤️
Dikhne Mein Woh Bahut Gareeb Thi Sahab Par,
Uski Hansi Kisi Shehzadi Se Kam Nahi Thi!❤️
Mujhe Tu Chahe Tera Saath Chahiye Jise Thaam Kar,
Main Poori Zindagi Bita Doon Wo Wala Haath Chahiye!❤️
Tumhari Fikr Hai Mujhe Isme Koi Shak Nahi,
Tumhe Koi Aur Dekhe Kisi Ko Ye Haq Nahi.❤️
2 Line Shayari In Roman English
Ashkon Se Bheege Panne Par
Yun Lafz Simatte Gaye,
Dard Se Behaal Kalam Aur
Jazbaat Pighalte Gaye.❤️
Yeh Tumhari Mohabbat Hi Hai Jo Mere Gusse
Ko Pyaar Mein Badal Deti Hai,. ❤️????
Computer Jaisa Dimaag Tha Mera,
Pagli Ne Love You Love You Bol Ke Hang Kar Diya. ❤️
Mujhe Sirf Do Cheezon Se Dar Lagta Hai,
Ek Tere Rone Se Aur Doosra Tujhe Khone Se. ❤️????
Jaan Tum Humein, Jaan Se Bhi Pyaare Ho,
Tum Kal Bhi Humare The, Aur Aaj Bhi Humare Ho.❤️
Door Hokar Bhi Jo Shaks
Samaya Hai Meri Rooh Mein,
Paas Waalon Par
Wo Kitna Asar Rakhta Hoga.❤️
Ab Neend Nahi Aati Akele,
Tum Aa Jao Na Jaan Ghar Mere, ..❤️
Jab Tak Asmaan Mein Sitare Rahenge,
Hum Sirf Aur Sirf Tumhare Rahenge. ❤️
Din Bhar Ki Thakaan Door Ho Jaati Hai,
Jab Tumse Achhe Se Baat Ho Jaati Hai. ❤️
Yeh Hamari Mohabbat Hai
Ya Kuch Aur Yeh To Pata Nahi,
Lekin Jo Tumse Hai, Woh Kisi Aur Se Nahi.❤️
Urdu Shayari In Roman English
Humne Haath Faila
Kar Ishq Maanga Tha,
Sanam Ne Haath
Choom Kar Jaan Nikaal Di.❤️
Yeh Tumse Kisne Kaha
Tum Ishq Ka Tamasha Karna,
Agar Mohabbat Karte Ho
Humse To Bas Halka Sa Ishara Karna.❤️
Mare To Laakhon Honge Tujhpar,
Main To Tere Saath Jeena Chahta Hoon.❤️
Tu Hazaar Baar Bhi Roothe To Mana Loonga Tujhe,
Magar Dekh Mohabbat Mein Shaamil Koi Doosra Na Ho.❤️
Samajhta Hi Nahi Woh Mere Alfaz Ki Gehraai,
Maine Har Lafz Keh Diya Jise Mohabbat Kehte Hain.❤️
Ishq-e-dariya Mein Hum
Doob Kar Bhi Dekh Aaye,
Woh Log Munafe Mein
Rahe Jo Kinare Se Laut Aaye.❤️
Mujhe Nahi Maaloom Woh Pehli Baar Kab Acche Lage,
Magar Uske Baad Kabhi Bure Bhi Nahi Lage.❤️
Sacchi Mohabbat Kabhi Khatm Nahi Hoti,
Waqt Ke Saath Khamosh Ho Jaati Hai.❤️
Sachcha Pyaar Kisi Bhoot Ki Tarah Hota Hai,
Batein To Sab Karte Hain, Dekha Kisi Ne Nahi.❤️
Tars Gaye Hain Hum Tere Muh Se Kuch Sunne Ko,
Pyaar Ki Baat Na Sahi, Koi Shikayat Hi Kar De.❤️
Shayari In Roman English On Life
Humein Toh Kabool Hai Har Dard…
Har Takleef Teri Chahat Mein,
Bas Itna Bata De Kya Tujhe
Meri Mohabbat Kabool Hai?❤️
Jab Kisi Ki Rooh Mein Utar Jaata Hai
Mohabbat Ka Samandar,
Tab Log Zinda To Hote Hain,
Lekin Kisi Aur Ke Andar.❤️
Na Chaand Ki Chahat,
Na Taaron Ki Farmaish,
Har Pal Mein Ho Tu Mere Saath
Bas Yehi Hai Meri Khwaish.❤️
Woh Poochhte Hain Ki Humein Kya Hua Hai,
Ab Hum Unse Kaise Keh, Unse Ishq Hua Hai.❤️
Yeh Zindagi Kitni Khoobsurat Hai,
Bas Ab Aap Aaiye, Aapki Hi Zarurat Hai.❤️
Hope you like these “Shayari in Roman English”. Shayari in Roman English is a creative fusion of tradition and modernity. It allows poets and readers to communicate more freely, reaching audiences across languages, countries, and cultures. While some may argue it lacks the charm of traditional scripts, its digital convenience has ensured that this poetic tradition never fades away with time. In today’s fast-paced, text-driven world, Roman English Shayari has become a language of the heart—easy to write, share, and feel.